Saturday, January 29, 2011

Us Ne Kaha Key Ishq Ka Nasha Utar Gaya ...


Us ne kaha ke ishq ka nasha utar gaya...
Mein ne kaha husn bhi tum se mukar gaya...

Us ne kaha ke tujh ko deelani hein choriyaan...
Mein ne kaha ke aab woh zamana guzar gaya...

Us ne kaha ke kya howi kajal ki dhaar si...
Mein ne kaha ke aankh se darya guzar gaya...

Us ne kaha ke yeh teri chiryoon* se dosti...
Mein ne kaha ke dil mera duniya se bhar gaya...

Us ne kaha ke kya mila sab se big'aar ke...
Mein ne kaha ke waqt to aacha guzar gaya...

Us ne kaha ke khwab mein aane ka waqt do...
Mein ne kaha ke neend ka mosaam guzar gaya...

Us ne kaha ke woh tere suraj ka kya bana...
Mein ne kaha ke woh mere dil mein utar gaya...

Us ne kaha ke woh nahi dega tumhara saath...
Mein ne kaha ke woh chalo wada to kar gaya...

Akhir ko tang aake kahi us ne itni baat...
Woh tum kahan gai woh zamana kidhar gaya...

Sazaa (John Aliya)


Her Baar Mere Saamne Aati Rahi Ho Tum
Her Baar Tum Se Mil K Bichharta Raha Huun Main
Tum Kon Ho Yeh Khud Bhi Nahi Janti Ho Tum
Main Kon Huun Yeh Khud Bhi Nahin Janta Huun Main
Tum Mujhe Ko Jaan Ker Hi Pari Ho Azaab Mein
Aur Is Tarah Khud Apni Sazza Ban Gaya Huun Main

Tum Jis Zameen Pe Ho Main Us Ka Khuda Nahin
Pas Sar Basar Azeeyat O Azaar Hi Rahi
Bezaar Ho Gayee Ho Buhat Zindagy Se Tum
Jab Bus Mein Kuch Nahin Hai To Bezaar Hi Raho
Tum Ko Yahan K Saaya O Par To Se Kia Gharaz
Tum Apne Haq Mein Beech Ki Deewar Hi Raho

Main Ibtada E Ishq Se Be Meher Hi Raha
Tum Inteha E Shauq Ka Mayaar Hi Raho
Tum Khoon Thookti Ho Yeh Sun Ker Khushi Huwi
Is Rang, Is Adaa Mein Bhi Purkaar Hi Rahi

Maine Yeh Kab Kaha Tha Mohabbat Mein Hai Nijaat
Maine Yeh Kab Kaha Tha Wafadaar Hi Raho
Apni Mata E Naaz Luta Ker Mere Liye
Bazaar E Iltafaat Mein Nadaar Hi Raho

Jab Main Tumhein Kabhi Nishaat E Mohabbat Na Day Saka
Gham Mein Kabhi Sakoon E Rafaaqat Na Day Saka
Jab Mere Sab Charagh E Tamanna Hawa K Hain
Jab Mere Sara Khawab Kissi Be Wafa K Hain

Phir Mujh Ko Chahne Ka Tumhein Koi Haq Nahin
Tanha Karahne Ka Tumhein Koi Haq Nahin …

Rishta E Aadam O Hawwa (John Aliya)


Meri Masoom Farozi , Meri Mabooda E Jaan
Mil Gaya Hai Mujhe Maktoob E Mohabbat Ka Jawab
Us K Andaz E Nigarish Se Pareshan Huun Main
Wehshat Afza Hai Mere Waste Asloob E Khitaab

Dekhna Thay Mujhe Sharmaye Huwe Kuch Jumlay
Mujh Ko Ahadees O Rawayaat Nahin Sunna Theen
Dekhna Tha Mujhe Ik Jazba E Kamil Tum Mein
Mujh Ko Quran Ki Ayaat Nahin Perhna Theen

Tum Ne Likha Hai K Tum Bhai Samajhti Ho Mujh Ko
Aab E Zam Zam Se Karo Pur Na Jawani Ka Ayaagh
Tum Ne Likha Hai K Pakeeza Mohabbat Hai Mujhe
Shama E Kaaba Se Jalaao Na Meri Shab Ka Charagh

Tum Agar Bhai Samajhti Ho To Yeh Bhi Likho
Bhai K Khat Ko Bhi Chuo Chup K Perha Kerte Hain?
Tum Agar Bhai Samajhti Ho To Yeh Bhi Batlao
Bhai Ka Naam Bhi Sharma K Liya Kerte Hain?

Maine Samjha Tha Mai_Naab E Takhayyal Tum Ko
Ab Yeh Taqdees E Takhayyal To Bari Mushkil Hai
Aao Main Tum Ko Bataon K Mohabbat Kia Hai
Hasrat E Larzish E Be Ja Ka Mukammal Ehsas

MARD O AURAT MEIN MERI HOOR TERE SIR KI QASAM
RISHTA E AADAM HO HAWWA K SIWA KUCH BHI NAHIN