
Her Baar Mere Saamne Aati Rahi Ho Tum
Her Baar Tum Se Mil K Bichharta Raha Huun Main
Tum Kon Ho Yeh Khud Bhi Nahi Janti Ho Tum
Main Kon Huun Yeh Khud Bhi Nahin Janta Huun Main
Tum Mujhe Ko Jaan Ker Hi Pari Ho Azaab Mein
Aur Is Tarah Khud Apni Sazza Ban Gaya Huun Main
Tum Jis Zameen Pe Ho Main Us Ka Khuda Nahin
Pas Sar Basar Azeeyat O Azaar Hi Rahi
Bezaar Ho Gayee Ho Buhat Zindagy Se Tum
Jab Bus Mein Kuch Nahin Hai To Bezaar Hi Raho
Tum Ko Yahan K Saaya O Par To Se Kia Gharaz
Tum Apne Haq Mein Beech Ki Deewar Hi Raho
Main Ibtada E Ishq Se Be Meher Hi Raha
Tum Inteha E Shauq Ka Mayaar Hi Raho
Tum Khoon Thookti Ho Yeh Sun Ker Khushi Huwi
Is Rang, Is Adaa Mein Bhi Purkaar Hi Rahi
Maine Yeh Kab Kaha Tha Mohabbat Mein Hai Nijaat
Maine Yeh Kab Kaha Tha Wafadaar Hi Raho
Apni Mata E Naaz Luta Ker Mere Liye
Bazaar E Iltafaat Mein Nadaar Hi Raho
Jab Main Tumhein Kabhi Nishaat E Mohabbat Na Day Saka
Gham Mein Kabhi Sakoon E Rafaaqat Na Day Saka
Jab Mere Sab Charagh E Tamanna Hawa K Hain
Jab Mere Sara Khawab Kissi Be Wafa K Hain
Phir Mujh Ko Chahne Ka Tumhein Koi Haq Nahin
Tanha Karahne Ka Tumhein Koi Haq Nahin …
No comments:
Post a Comment