Saturday, January 29, 2011

Us Ne Kaha Key Ishq Ka Nasha Utar Gaya ...


Us ne kaha ke ishq ka nasha utar gaya...
Mein ne kaha husn bhi tum se mukar gaya...

Us ne kaha ke tujh ko deelani hein choriyaan...
Mein ne kaha ke aab woh zamana guzar gaya...

Us ne kaha ke kya howi kajal ki dhaar si...
Mein ne kaha ke aankh se darya guzar gaya...

Us ne kaha ke yeh teri chiryoon* se dosti...
Mein ne kaha ke dil mera duniya se bhar gaya...

Us ne kaha ke kya mila sab se big'aar ke...
Mein ne kaha ke waqt to aacha guzar gaya...

Us ne kaha ke khwab mein aane ka waqt do...
Mein ne kaha ke neend ka mosaam guzar gaya...

Us ne kaha ke woh tere suraj ka kya bana...
Mein ne kaha ke woh mere dil mein utar gaya...

Us ne kaha ke woh nahi dega tumhara saath...
Mein ne kaha ke woh chalo wada to kar gaya...

Akhir ko tang aake kahi us ne itni baat...
Woh tum kahan gai woh zamana kidhar gaya...

Sazaa (John Aliya)


Her Baar Mere Saamne Aati Rahi Ho Tum
Her Baar Tum Se Mil K Bichharta Raha Huun Main
Tum Kon Ho Yeh Khud Bhi Nahi Janti Ho Tum
Main Kon Huun Yeh Khud Bhi Nahin Janta Huun Main
Tum Mujhe Ko Jaan Ker Hi Pari Ho Azaab Mein
Aur Is Tarah Khud Apni Sazza Ban Gaya Huun Main

Tum Jis Zameen Pe Ho Main Us Ka Khuda Nahin
Pas Sar Basar Azeeyat O Azaar Hi Rahi
Bezaar Ho Gayee Ho Buhat Zindagy Se Tum
Jab Bus Mein Kuch Nahin Hai To Bezaar Hi Raho
Tum Ko Yahan K Saaya O Par To Se Kia Gharaz
Tum Apne Haq Mein Beech Ki Deewar Hi Raho

Main Ibtada E Ishq Se Be Meher Hi Raha
Tum Inteha E Shauq Ka Mayaar Hi Raho
Tum Khoon Thookti Ho Yeh Sun Ker Khushi Huwi
Is Rang, Is Adaa Mein Bhi Purkaar Hi Rahi

Maine Yeh Kab Kaha Tha Mohabbat Mein Hai Nijaat
Maine Yeh Kab Kaha Tha Wafadaar Hi Raho
Apni Mata E Naaz Luta Ker Mere Liye
Bazaar E Iltafaat Mein Nadaar Hi Raho

Jab Main Tumhein Kabhi Nishaat E Mohabbat Na Day Saka
Gham Mein Kabhi Sakoon E Rafaaqat Na Day Saka
Jab Mere Sab Charagh E Tamanna Hawa K Hain
Jab Mere Sara Khawab Kissi Be Wafa K Hain

Phir Mujh Ko Chahne Ka Tumhein Koi Haq Nahin
Tanha Karahne Ka Tumhein Koi Haq Nahin …

Rishta E Aadam O Hawwa (John Aliya)


Meri Masoom Farozi , Meri Mabooda E Jaan
Mil Gaya Hai Mujhe Maktoob E Mohabbat Ka Jawab
Us K Andaz E Nigarish Se Pareshan Huun Main
Wehshat Afza Hai Mere Waste Asloob E Khitaab

Dekhna Thay Mujhe Sharmaye Huwe Kuch Jumlay
Mujh Ko Ahadees O Rawayaat Nahin Sunna Theen
Dekhna Tha Mujhe Ik Jazba E Kamil Tum Mein
Mujh Ko Quran Ki Ayaat Nahin Perhna Theen

Tum Ne Likha Hai K Tum Bhai Samajhti Ho Mujh Ko
Aab E Zam Zam Se Karo Pur Na Jawani Ka Ayaagh
Tum Ne Likha Hai K Pakeeza Mohabbat Hai Mujhe
Shama E Kaaba Se Jalaao Na Meri Shab Ka Charagh

Tum Agar Bhai Samajhti Ho To Yeh Bhi Likho
Bhai K Khat Ko Bhi Chuo Chup K Perha Kerte Hain?
Tum Agar Bhai Samajhti Ho To Yeh Bhi Batlao
Bhai Ka Naam Bhi Sharma K Liya Kerte Hain?

Maine Samjha Tha Mai_Naab E Takhayyal Tum Ko
Ab Yeh Taqdees E Takhayyal To Bari Mushkil Hai
Aao Main Tum Ko Bataon K Mohabbat Kia Hai
Hasrat E Larzish E Be Ja Ka Mukammal Ehsas

MARD O AURAT MEIN MERI HOOR TERE SIR KI QASAM
RISHTA E AADAM HO HAWWA K SIWA KUCH BHI NAHIN

Tuesday, May 19, 2009

Munkshif hoti hay her rooz koi baat naee


Munkshif hoti hay her rooz koi baat naee
Rooz khulta hay tera pyar sazish ki tarha...

zindagi ... taiz bohot Taiz hawa ka jhonka


zindagi ... taiz bohot Taiz hawa ka jhonka
jalti bujhtee shamain hain mah-o-saal meray
dhalta sooraj meray maazi ki lehad ka katba
raig-e-sehra ki lakirain hain khadd-o-khaal meray
chaand mairay tan-e-majrooh pay sang-e-e'zaaz
Dhoop chhaaun meray sad chaak libaday ka khiraaj
sab sitaray meri poshaak kay pewand-e-naheef
mairay aanso mera wirsa meri aankhon ka mizaaj
mera chehra meray maqtool hunar ki tareekh
meri aankhain meri dukhtee huee raaton kay chiraagh
merray honton pay meri pyaas kay nohon ka hujoom
meray seenay pay darakhshaan meri toheen kay daagh
aaj ki shaam kay har saal issi shaam kay sath
meri ukhree huee saanson main girah lagti hai
aasmaan waqt kay aanchal ki dhanak bunta hai
saari dharti tan-e-uryaan ki zirah lagti hai
aaj ki shaam kay har saal meray zakham nawaz
muskuratay huey kuchh phool ataa kartay hain
kuchh maseeha meri khaatir mera dill rakhnay ko
khatt main jenay ki dua bhaij dia kartay hain
saalha saal guzarnay pay bhi aey dill dazgaaN
aaj ki shaam manatay huey darr lagta hai
muskuratay huey chehron kay bhanwar hain laikin
aakhri shamma jalatay huey darr lagta hai
dill dharakta hai kay jalti huee sham'oon ka dhuwan
sho'la-e-karb main tehleel na ho jaey kahin
ji larazta hai kay manzar kay adhooray pann kia
aj ki shaam say takmeel na ho jaey kahin
aaow kuchh dair ko ham zakham shumaari kar lain
aur kuch dair main har shamma pighal jaey gia
aj ki bazm main kho jaain, kahin so jaain
aaj ki shaam bhi kuchh dair main dhall jaey gi
jalti bujhtee huee sham'ooN ka bharosa kia hai?
zindagi taiz, bohot taiz hawa ka jhonka

Sochta hoon

Sochta hoon ke muhabbat se kinara kar loon
Dil ko begana-e-targeeb-o-tamana kar loon
Sochta hoon ke muhabbat hai junoon-e-rusava
Chund bekaar se behooda khayaalon ka hajoom
Ek aazaad ko paaband banaane ki havas
Ek begaane ko apnaane ki sai-e-mauhoom
Sochta hon ke muhabbat hai suroor-e-masti
Is ki tanveer mein roshan hai fazaa-e-hasti
Sochta hoon ke muhabbat hai bashar ki fitrat
Is ka mit jana, mitaa dena bohot mushkil hai
Sochta hoon ke muhabbat se hai taabinda hayat
Aap ye shama bujha dena bohat mushkil hai
Sochta hoon ke muhabbat pe kari shartein hain
Ik tamaddun mein musarrat pe bari shartien hain
Sochta hoon ki muhabbat hai ik afsurda si laash
Chaadar-e-izzat-o-naamoos mein kafnaai hui
Daur-e-sarmaya ki raundi hui rusva hasti
Dargah-e-mazahab-o-ikhlaaq se thukrai hui
Sochta hoon ke bashar aur muhabbat ka junoon
Aisi bosida tamaddun se hai ik kaar-e-zaboon
Sochta hoon ke muhabbat na bachay gi zinda
Pesh-az-waqt ki sarh jaaye ye galti hui laash
Ye he behtar hai ki begana-e-ulfat hokar
Apne seene mein karoon jazb-e-nafrat ki talaash
Aur sauda-e-muhabbat se kinara kar loon
Dil ko begana-e-targeeb-o-tamana kar loon.

Monday, May 4, 2009

Tumhare Lamss ki Hiddat Nahii Too


Tumhare Lamss ki Hiddat Nahii Too
Mere Poroon Mein Sardi Tham Gai Haii ...

Dard Key Sehra pe Barsaat Nahi bhula


Dard Key Sehra pe Barsaat Nahi bhula
Mein dour-e-junoon Ki koi mulaqat nhi bhula
Yaad hain din wasal k is lie mujh ko
Mein us k hijir ki koi raat nhi bhula
Is lie hon mein ishq ka fateh logoon
Mein ishq mein khai hoi maat nhi bhula
Mustaqbil ko hai mere wafa ka yaqeen
Mein apne mazi k bhi lamhaat nhi bhula
Bhoolne betha mein jab us ki sari bataon ko
"bhula na dena" ye baat nhi bhula
Dekho mein phir aajj betha hon Zameen per
Dekho ajj bhi apni ouqaat nhi bhula..

Sunday, May 3, 2009

Mein Ne Ghazlon Mein utara hai Tumhara Chehra


Mein Ne Ghazlon Mein utara hai Tumhara Chehra
Key Mujhe jaan sey piyara Hai tumhara Chehra
Tum ko is baat ka ehsaas jane kab hogaa
Meri ankhon ka kinara hai tumhara Chehra
Dekh k is ko sukoon dil ko mayasar ayee
Mujh ko ghairon mein sahara hai Tumhara Chehra
Apni mamool ki takhleeq se hat kar jaisey
Us ne fursat se sanawara hai tumhara Chehra
Apni takhleeq se Ayaan karta haii
Uski Qudrat ka ishara hai tumhara Chehra

Hum raat bohat roye, bht ahh-o-faghan ki


Hum raat bohat roye, bht ahh-o-faghan ki
Dil dard se bohjal ho to phir neend kahan ki
Is ghar ki khuli chat pe chamaktey hoe Taroon
Kehtey ho kabhi baat wahan ja k yahan ki ?
Acha humen bantey hoye, mittey hoye dekho
Hum moj-e-gureza hi sahi aab-e-rawan ki
Ae Dosto, Ae Dosto, Aey dard Naseebo
Galiyon mein chalo seer karen shehar-e-butan ki
Hota ha yehi ishq mein anjaam sabhi ka
Batain yehi dekhin hain mohabbat zadgan ki
Allah Kare MEER ka jannat mein makan ho
Marhoom ne har baat humari hi bayan Ki

MAYOOS


MAYOOS to hoon vaade se tere, Kuch AAS nahin kuch AAS bhi hay
MEIN apnay khayaloon ke SADQAY, “TU” pass nahin aur pass bhi hay…!!!

Koi hadd Bhi ho Tanhaiiyoon Ki


Koi hadd Bhi ho Tanhaiiyoon Ki
Mein Khud Mein Pehla, Khudhi Mein dusra hoon

Arz-O-saman kahan teri wousat ko pa saky



Arz-O-saman kahan teri wousat ko pa saky
Ik mera hi Dil hay jahan To Sama Sakay..

Mujhey Acha Laga Mohsin


Mujhey Acha Laga Mohsin
Usey Pa Kar Gawaa Denaa ..

Itna bhi kya UROOJ, kay Woh Mill hi Na sakay



Itna bhi kya UROOJ, kay Woh Mill hi Na sakay
Woh Mera Ho sakay USSAY Itna ZAVAAL Day…!!!

TERE Irrd Girrd hain Ghoomtay MERI Zindagi kay Mamlay



TERE Irrd Girrd hain Ghoomtay MERI Zindagi kay Mamlay
TUJHE Dhoond lene kay Shauq main, Mein ne Apna AP Ganva diya…!!!