Tuesday, May 19, 2009

zindagi ... taiz bohot Taiz hawa ka jhonka


zindagi ... taiz bohot Taiz hawa ka jhonka
jalti bujhtee shamain hain mah-o-saal meray
dhalta sooraj meray maazi ki lehad ka katba
raig-e-sehra ki lakirain hain khadd-o-khaal meray
chaand mairay tan-e-majrooh pay sang-e-e'zaaz
Dhoop chhaaun meray sad chaak libaday ka khiraaj
sab sitaray meri poshaak kay pewand-e-naheef
mairay aanso mera wirsa meri aankhon ka mizaaj
mera chehra meray maqtool hunar ki tareekh
meri aankhain meri dukhtee huee raaton kay chiraagh
merray honton pay meri pyaas kay nohon ka hujoom
meray seenay pay darakhshaan meri toheen kay daagh
aaj ki shaam kay har saal issi shaam kay sath
meri ukhree huee saanson main girah lagti hai
aasmaan waqt kay aanchal ki dhanak bunta hai
saari dharti tan-e-uryaan ki zirah lagti hai
aaj ki shaam kay har saal meray zakham nawaz
muskuratay huey kuchh phool ataa kartay hain
kuchh maseeha meri khaatir mera dill rakhnay ko
khatt main jenay ki dua bhaij dia kartay hain
saalha saal guzarnay pay bhi aey dill dazgaaN
aaj ki shaam manatay huey darr lagta hai
muskuratay huey chehron kay bhanwar hain laikin
aakhri shamma jalatay huey darr lagta hai
dill dharakta hai kay jalti huee sham'oon ka dhuwan
sho'la-e-karb main tehleel na ho jaey kahin
ji larazta hai kay manzar kay adhooray pann kia
aj ki shaam say takmeel na ho jaey kahin
aaow kuchh dair ko ham zakham shumaari kar lain
aur kuch dair main har shamma pighal jaey gia
aj ki bazm main kho jaain, kahin so jaain
aaj ki shaam bhi kuchh dair main dhall jaey gi
jalti bujhtee huee sham'ooN ka bharosa kia hai?
zindagi taiz, bohot taiz hawa ka jhonka

No comments:

Post a Comment