
Tum jo pal ko Thahar jaao to ye lamhay bhi
Anaywalay lamhon kii amaanat ban jaayain
Tum jo Thahar jaao to ye raat, mahataab
Ye sabzaa, ye gulaab aur ham donon ke Khuwab
Sab k sab aisay mubaham hon k haqiiqat ho jaayain
Tum Thahar jaao k unwaan kii tafseer ho tum
Tum se talKhi-e-auqaat kaa mausam badalay
Raat to kyaa badlay gi, haaalat to kyaa badlain gay
Tum jo Thehar jaao to merii zaat kaa mausam badlay
Maherbaan ho k na Thehro to phir youn Thehro
Jaisay pal bhar ko koi Khuwaab-e-tamanna Thehray
Jaise darvesh-e-madaa-nosh k piyalay main kabhi
Aik do pal ke liye talKhi-e-duniyaa Theharay
Thehar jaao k madaarat may-khanay say
Chaltay chaltay koi ik-aadh suboo ho jaye
Is say pahlay k koi lamhaa aayinda ka teer
Is tarah aaye ke pevast-e-guloo ho jaaye
No comments:
Post a Comment