Saturday, May 2, 2009

Garmi-e-shoQ-e-nazara ka asar to dekho

Garmi-e-shoQ-e-nazara ka asar to dekho
gul khilay jatay hain vo saya-e-dar to dekho

aisay nadan to na thay jaan say guzarnay walay
naseh-o-rahbar-o-rah guzer to dekho

woh to woh hain tumhain ho jaye gi ulfat mujh say
aik nazar tum meraa mehBooB-e-nazar to dekho

woh jo ab chaak gareban bhi naheen kartay hain
dekhnay waalo kabhee un ka jigar to dekho

daman-e-dard ko gulazar bana rakha hai
ao ik din dil-e-pur Khoon kaa hunar to dekho

subah ki tarah jhamgata hai shab-e-Ghum ka ufq
"Faiz" tabindagi-e-deedaa-e-tar to dekho

No comments:

Post a Comment