Tuesday, May 19, 2009

Munkshif hoti hay her rooz koi baat naee


Munkshif hoti hay her rooz koi baat naee
Rooz khulta hay tera pyar sazish ki tarha...

zindagi ... taiz bohot Taiz hawa ka jhonka


zindagi ... taiz bohot Taiz hawa ka jhonka
jalti bujhtee shamain hain mah-o-saal meray
dhalta sooraj meray maazi ki lehad ka katba
raig-e-sehra ki lakirain hain khadd-o-khaal meray
chaand mairay tan-e-majrooh pay sang-e-e'zaaz
Dhoop chhaaun meray sad chaak libaday ka khiraaj
sab sitaray meri poshaak kay pewand-e-naheef
mairay aanso mera wirsa meri aankhon ka mizaaj
mera chehra meray maqtool hunar ki tareekh
meri aankhain meri dukhtee huee raaton kay chiraagh
merray honton pay meri pyaas kay nohon ka hujoom
meray seenay pay darakhshaan meri toheen kay daagh
aaj ki shaam kay har saal issi shaam kay sath
meri ukhree huee saanson main girah lagti hai
aasmaan waqt kay aanchal ki dhanak bunta hai
saari dharti tan-e-uryaan ki zirah lagti hai
aaj ki shaam kay har saal meray zakham nawaz
muskuratay huey kuchh phool ataa kartay hain
kuchh maseeha meri khaatir mera dill rakhnay ko
khatt main jenay ki dua bhaij dia kartay hain
saalha saal guzarnay pay bhi aey dill dazgaaN
aaj ki shaam manatay huey darr lagta hai
muskuratay huey chehron kay bhanwar hain laikin
aakhri shamma jalatay huey darr lagta hai
dill dharakta hai kay jalti huee sham'oon ka dhuwan
sho'la-e-karb main tehleel na ho jaey kahin
ji larazta hai kay manzar kay adhooray pann kia
aj ki shaam say takmeel na ho jaey kahin
aaow kuchh dair ko ham zakham shumaari kar lain
aur kuch dair main har shamma pighal jaey gia
aj ki bazm main kho jaain, kahin so jaain
aaj ki shaam bhi kuchh dair main dhall jaey gi
jalti bujhtee huee sham'ooN ka bharosa kia hai?
zindagi taiz, bohot taiz hawa ka jhonka

Sochta hoon

Sochta hoon ke muhabbat se kinara kar loon
Dil ko begana-e-targeeb-o-tamana kar loon
Sochta hoon ke muhabbat hai junoon-e-rusava
Chund bekaar se behooda khayaalon ka hajoom
Ek aazaad ko paaband banaane ki havas
Ek begaane ko apnaane ki sai-e-mauhoom
Sochta hon ke muhabbat hai suroor-e-masti
Is ki tanveer mein roshan hai fazaa-e-hasti
Sochta hoon ke muhabbat hai bashar ki fitrat
Is ka mit jana, mitaa dena bohot mushkil hai
Sochta hoon ke muhabbat se hai taabinda hayat
Aap ye shama bujha dena bohat mushkil hai
Sochta hoon ke muhabbat pe kari shartein hain
Ik tamaddun mein musarrat pe bari shartien hain
Sochta hoon ki muhabbat hai ik afsurda si laash
Chaadar-e-izzat-o-naamoos mein kafnaai hui
Daur-e-sarmaya ki raundi hui rusva hasti
Dargah-e-mazahab-o-ikhlaaq se thukrai hui
Sochta hoon ke bashar aur muhabbat ka junoon
Aisi bosida tamaddun se hai ik kaar-e-zaboon
Sochta hoon ke muhabbat na bachay gi zinda
Pesh-az-waqt ki sarh jaaye ye galti hui laash
Ye he behtar hai ki begana-e-ulfat hokar
Apne seene mein karoon jazb-e-nafrat ki talaash
Aur sauda-e-muhabbat se kinara kar loon
Dil ko begana-e-targeeb-o-tamana kar loon.

Monday, May 4, 2009

Tumhare Lamss ki Hiddat Nahii Too


Tumhare Lamss ki Hiddat Nahii Too
Mere Poroon Mein Sardi Tham Gai Haii ...

Dard Key Sehra pe Barsaat Nahi bhula


Dard Key Sehra pe Barsaat Nahi bhula
Mein dour-e-junoon Ki koi mulaqat nhi bhula
Yaad hain din wasal k is lie mujh ko
Mein us k hijir ki koi raat nhi bhula
Is lie hon mein ishq ka fateh logoon
Mein ishq mein khai hoi maat nhi bhula
Mustaqbil ko hai mere wafa ka yaqeen
Mein apne mazi k bhi lamhaat nhi bhula
Bhoolne betha mein jab us ki sari bataon ko
"bhula na dena" ye baat nhi bhula
Dekho mein phir aajj betha hon Zameen per
Dekho ajj bhi apni ouqaat nhi bhula..

Sunday, May 3, 2009

Mein Ne Ghazlon Mein utara hai Tumhara Chehra


Mein Ne Ghazlon Mein utara hai Tumhara Chehra
Key Mujhe jaan sey piyara Hai tumhara Chehra
Tum ko is baat ka ehsaas jane kab hogaa
Meri ankhon ka kinara hai tumhara Chehra
Dekh k is ko sukoon dil ko mayasar ayee
Mujh ko ghairon mein sahara hai Tumhara Chehra
Apni mamool ki takhleeq se hat kar jaisey
Us ne fursat se sanawara hai tumhara Chehra
Apni takhleeq se Ayaan karta haii
Uski Qudrat ka ishara hai tumhara Chehra

Hum raat bohat roye, bht ahh-o-faghan ki


Hum raat bohat roye, bht ahh-o-faghan ki
Dil dard se bohjal ho to phir neend kahan ki
Is ghar ki khuli chat pe chamaktey hoe Taroon
Kehtey ho kabhi baat wahan ja k yahan ki ?
Acha humen bantey hoye, mittey hoye dekho
Hum moj-e-gureza hi sahi aab-e-rawan ki
Ae Dosto, Ae Dosto, Aey dard Naseebo
Galiyon mein chalo seer karen shehar-e-butan ki
Hota ha yehi ishq mein anjaam sabhi ka
Batain yehi dekhin hain mohabbat zadgan ki
Allah Kare MEER ka jannat mein makan ho
Marhoom ne har baat humari hi bayan Ki

MAYOOS


MAYOOS to hoon vaade se tere, Kuch AAS nahin kuch AAS bhi hay
MEIN apnay khayaloon ke SADQAY, “TU” pass nahin aur pass bhi hay…!!!

Koi hadd Bhi ho Tanhaiiyoon Ki


Koi hadd Bhi ho Tanhaiiyoon Ki
Mein Khud Mein Pehla, Khudhi Mein dusra hoon

Arz-O-saman kahan teri wousat ko pa saky



Arz-O-saman kahan teri wousat ko pa saky
Ik mera hi Dil hay jahan To Sama Sakay..

Mujhey Acha Laga Mohsin


Mujhey Acha Laga Mohsin
Usey Pa Kar Gawaa Denaa ..

Itna bhi kya UROOJ, kay Woh Mill hi Na sakay



Itna bhi kya UROOJ, kay Woh Mill hi Na sakay
Woh Mera Ho sakay USSAY Itna ZAVAAL Day…!!!

TERE Irrd Girrd hain Ghoomtay MERI Zindagi kay Mamlay



TERE Irrd Girrd hain Ghoomtay MERI Zindagi kay Mamlay
TUJHE Dhoond lene kay Shauq main, Mein ne Apna AP Ganva diya…!!!

Aik Aisa Shaks Bhi Hai Meri Zeest Mein Mohsin


Aik Aisa Shaks Bhi Hai Meri Zeest Mein Mohsin
Jo Meri Umer Hai, Aur Mein Uska Lamha Bhi Nahi !!

Saturday, May 2, 2009

Woh Bachpaney Ki Need To Ab Khuwab Ho Gayii


Woh Bachpaney Ki Need To Ab Khuwab Ho Gayii
Kya Umer Thi Key Raat Hoi Aur SoO Gaye ..

Mere ashkon ko Palkon Per Machalna Bhi Nahi Aata


Mere ashkon ko Palkon Per Machalna Bhi Nahi Aata
Izhaar-e-zabt se Mujh ko nikalna Bhi nahi Aata
Gaye ho aisi rahoon mein akela choor key Mujh ko
Key Jin pe theek se mujh ko to chalna bhi nhi aata
Mujhe Lagta hai jaise mein koi woh ghum ka suraj hoon
Key jisko sham hojane pey dhalna bhi nahi Aata
Tumhari berukhi ek din unhen barbad kar dege
Jinhen Nazron se gir kar phir sambhalna bhi nhi aata
Na Rehtey muntazir tery to phir hum aur kya kartey
Humen teri terhan rastey Badlana bhi nahi aata ..

Tum Jo Pal Ko Tehar Jaoo



Tum jo pal ko Thahar jaao to ye lamhay bhi
Anaywalay lamhon kii amaanat ban jaayain
Tum jo Thahar jaao to ye raat, mahataab
Ye sabzaa, ye gulaab aur ham donon ke Khuwab
Sab k sab aisay mubaham hon k haqiiqat ho jaayain
Tum Thahar jaao k unwaan kii tafseer ho tum
Tum se talKhi-e-auqaat kaa mausam badalay
Raat to kyaa badlay gi, haaalat to kyaa badlain gay
Tum jo Thehar jaao to merii zaat kaa mausam badlay
Maherbaan ho k na Thehro to phir youn Thehro
Jaisay pal bhar ko koi Khuwaab-e-tamanna Thehray
Jaise darvesh-e-madaa-nosh k piyalay main kabhi
Aik do pal ke liye talKhi-e-duniyaa Theharay
Thehar jaao k madaarat may-khanay say
Chaltay chaltay koi ik-aadh suboo ho jaye
Is say pahlay k koi lamhaa aayinda ka teer
Is tarah aaye ke pevast-e-guloo ho jaaye

Koi Raat Mere Ashna Mujhe Yun Bhi To Naseeb Hoo


Koi Raat Mere Ashna Mujhe Yun Bhi To Naseeb Hoo
Na Khayal ho Libaas Tak, Tu Itne Mere kareeb Ho
Badan ki Garam Anch Sey Meri Arzu ko Aag De
Mera Josh Bhi Behak Uthey, Mera haal Bhi Ajeeb Ho

Teri Chashni Wajood Ka Mein Sara Rass Nichoor Lun
Phir Tu Hi Mera Marz ho, phir Tu hi Mera Tabeeb Ho ..

Himmat-e-iltaja nahi baqi

Himmat-e-iltaja nahi baqi
Zabt ka hosla nahi baqi

Ik teri deed chhin gayi mujh say
werna dunya main kia nahi baqi

Apni mashq-e-situm say hath na phher
main nahi, ya wafa nahi baqi?

teri chushm-e-alum nawaz ki kher
dil main koi gila nahi baqi

ho chuka khatam Ehd-e-hijr-o-visal
ZINDAGI MAIN MAZA NAHI BAQI

MUJHE YAAD KAR MUJHE YAAD AA

Koi mujh ko aisi daleel de
K mein toot kar tere naqsh ankh ki putlion se mita sakon
K mein dil se teri rafaqatoon ko bhula sakoon
Koi mujh ko aisi daleel de k mein umer bhar teri yaad ka
Koi jashan hi na mana sakoon
Agar koi aisi sabeel hoto azmaa jo nhi to phir

MUJHE YAAD KAR MUJHE YAAD AA

Kuch Loog Bohat Yaad Atey Hain

Jab yaad ka album kholun to Kuch loog bohat yaad atey hain
Mein apna bachpan soochon to Kuch log bohat yaad atey hain
Ab jane ki nagri mein ja kar abad hain muddat se
Mein raat gaye tak jagon to kuch log bohat yad atey hain
Kuch batain thin phoolon jaise kuch llehjey khushbu jaise they
Mein shehar e chaman mein tehlun to kuch log bohat yad atey hain
Wo pal bhar ki narazgi or maan bhi jana pal bhar
mein Ab khud se jab bhi ruthon to kuch log bohat yaad atey hain

Guzer rahay hain shab-o-roz tum nahi ateen

Guzer rahay hain shab-o-roz tum nahi ateen
riyaz-e-zeest hay azerda-e-bahar abhi
meray khiyal ki dunya hay sogwar abhi
jo hasratain teray gham ki kafeel hain pyari
abhi talak meri tanhayon main basti hain
taweel ratain abhi tak taweel hain pyari
udas ankhain teri deed ko tarasti hain
bahar-e-husn pay pabandi-e-jafa kab tak?
ye azmaish-e-sabar-e-gurez-e-paa kab tak?

Qasam tumhari buhat gham utha chuka hon main
Ghalat tha dawa-e-sabar-o-shakaib aa jao

Hai mujh per Taa-naa zann, khud meyra Ehsaas

Hai mujh per Taa-naa zann, khud meyra Ehsaas
Tamanna, apni qeemat kho rahi hai


Kaho'n kya, har palak, iss bey khabar ki
Meri aankhon mei'n, kaantey bo rahi hai

Araq alood chehrey ki har ik boond
Na jaaney kitney khaa-key dho rahi hai

Khusha ! ye tarz e tazeem e muhabbat
Ye tazeem e muhabbat ho rahi hai !!! ?

Gham e furqat ka shikwa karney waali
Meri maujoodagi mei'n so rahi hai ! !

Main kya likhon k jo mera tumhara rishta hai

Main kya likhon k jo mera tumhara rishta hai
Woh ashqi ki zaban main kahin bhi darj nahi

Likha gaya hai bohat lutf-e-wasal o dard-e-firaq
Magar yeh kaifiyat apni raqam nahi hai kahin

Yeh apna ishq hum aaghosh jis main hijr-o-wasal
Yeh apna dard k hai kab se humdam-e-mah-o-saal

Is ishq-e-khas ko har eik se chupae hue
“Guzar gaya hai zamana galey lagae hue"

Kab tak dil ki kher manayain, kub tak raah dikhlao gay

Kab tak dil ki kher manayain, kub tak raah dikhlao gay
kab tak chain ki muhlat do gay, kab tak yaad na aao gay

beeta deed umeed ka mausam, khak urrti hay ankhon main
kab bhejo gay dard ka badal, kab berkha bersao gay

Ahd-e-wafa aur tarak-e-taluq jo chaho so aap karo
apnay buss ki baat hi kia hay, hum se kia manwao gay

kis nay wasl ka sooraj dekha, kis per hijr ki raat dhali
gaisoo~on walay kon thay kia thay, un ko kia jatlao gay

Faiz dilon kay bhag main hay, ghar basna bhi lut jana bhi
Tum uss husn kay lutf-o-karam per kitnay din itrao gay

Garmi-e-shoQ-e-nazara ka asar to dekho

Garmi-e-shoQ-e-nazara ka asar to dekho
gul khilay jatay hain vo saya-e-dar to dekho

aisay nadan to na thay jaan say guzarnay walay
naseh-o-rahbar-o-rah guzer to dekho

woh to woh hain tumhain ho jaye gi ulfat mujh say
aik nazar tum meraa mehBooB-e-nazar to dekho

woh jo ab chaak gareban bhi naheen kartay hain
dekhnay waalo kabhee un ka jigar to dekho

daman-e-dard ko gulazar bana rakha hai
ao ik din dil-e-pur Khoon kaa hunar to dekho

subah ki tarah jhamgata hai shab-e-Ghum ka ufq
"Faiz" tabindagi-e-deedaa-e-tar to dekho